Backlink kya h aur kaise banaye backlink ke fayde


Backlink kya hota h  aaj ke post me aap logo ke saath backlink ke bare me jankari share karunga . Jisme me backlink kya h  backlink kaise banaye aur backlink kitni jaruri h ek blog ke liye .


Aap me se jinlogo ne blogging suru kar liya h aur blogging ki kuch knowledge rakhte h welog   backlink sabd se parichit honge par ek naye blogger ke liye backlink sabd sayad pshli baar sun rahe honge . Aar fir bhi aaplogo ne backlink ka name suna h oar backlink ke bare me nshi jante h to aap dhyaan se meri ye article Backlink kya h aur kaise banaye backlink ke fayde ko pad kar backlink ke bare me adsni se samajh kar jankari hasil kar lenge . 




Backlink kya h kaise banaye aur backlink ke fayde
Backlink kya h 






Backlink kya h . What is backlink




Ek website se kisi dusri website ko jo link di jaati h use backlink kahte h . Yaani backlink ek website se kisi dusre website me jaane ka rasta hota h . Backlink ko samjhne ke liye Maan lete h A ki ek website h jisme usne ek  article likha h . Us article me A ne B ke kisi article ka link diya h . Yaanha is link ko  B ke liye backlink mana jaayega . 


Backlink ,  SEO ki kai mahatvapurn term me se ek jaruri term h jo ki off page seo ke antargart aata h .


Ab sayad aapko backlink kya h samjh aa gaya hoga .. Chaliye backlink ke bare me kuch  aur jankariyaan aako bata dun .




Backlink ke prakar , Types of backlinks 





SEO  ki important term backlink sadharantah 2 tarah ke hote h  dofollow backlinks aur nofollow backlinks .


Aapke jankari ke liye baata dun backlink jab bhi create hota h ya backlink jab bhi banaya jata wo by default dofollow link hi hoti h . Par use creater dwara apne hissab se nofollow karte h ya phir dofollow hi rahne dete h .




1  .  Dofollow backlink kya h ?




Dofollow backlink waise link hoti h jisme ek website se dusri website tak jane ka rasta link ke madhyam se darsaya jata h . Jise hum link juice bhi kahte h . Do follow backlink me ek website se dusre website ko link juice pass hota h .


Ek website se dusre website ko diye jane wale link by default dofollow backlink hi hote h . Dofollow backlink blog websites ki ranking ko search engine me badane me madad karta h .

Aisi backlink me kisi tarah ki attribute ki jarurat nahi hoti h .





2  .  Nofollow backlink kya h  ?




 No follow backlink par dofollow link ki tarah link juice pass nshi hota h . Aisi link search engine me koi value add nahi karta h . Aur website blog ke ranking me bhi koi madad nahi karta h .


Nofollow link se blog ya website ke search engine aur ranking me koi madad na milne ke wavzud ye website blog ke liye kafi important hote h .


Nofollow link sidhe tarah se website ya blog ko koi sahayata nahi karta h . Par fir bhi ye link blog ya website ke liye jaruri hota h .


Dofollow link aur nofollow link saath milkar profile link ko balance banata h . Kewal dofollow link wale site ko google sahi nahi manta h aur penalty bhi laga sakta h . Website me dofollow link ke saath nofollow link ka bhi hona jaruri h .


Is link ka ek aur fayda ye h ki site me kabhi kabhi unwanted link bhi jude jaate h . Aise link jo aapke kaam ka na ho uske saath aap nofollow link add kar sakte h . Jisse aapke website se uske website koi link pass nahi hoga .




Backlinks me use hone wale terms 



Backlinks ko samjhne aur backlinks banane se pahle kuch terms ke bare me jankari jarururi h . Ye wo term h jo ki hume backlinks banate samay jaruri hoti h aur hum acchi backlink bana paate h .



1.  Link juice


Backlinks me ek websites se dusre websites tak link juice pass hota h yaani ek websites se dusre websites tsk jane ka rasta banata h . Link juice hamesha dofollow backlinks me hi performed karta h . Link juice pass hone se Google ko bhi page ya website ke bare me pat chalta h aur uske bots page ya site ko crawl aur index karte h .



2 .  High quality websites


High quality backlinks ke liye quality aur trusted website ka chayan karna chahiye . Quality websites se mera matlab aisi sites jo popular ho google me us websites ko high value prapt ho .


Backlink banate samay is baat ka dhyan rakhe aap jis websites se backlink banana chahte h . Wo apke blog ke saman niche ki websites ho . Jaise agar aapka blog niche yadi sports h to aap ko sports related blog se hi link bana h . 


Apne blog related niche ke alave dusre niches based blog se banai gayee backlink se blog ko koi fayda nahi hota h .



3 .  Low quality website


Low quality aise sites ko kaha jata h jinki value google ke nazar me kafi kam hota h . For example aisi site se kuch galat site spam sites ya porn sites h .


Backlink banante samay aisi low quality ke websites se savdhan rahe . Aise link se blog ko koi fayda to hota nahi h . Par  blog ko nukshan jarur ho jata h . 


Isliye jab bhi backlink banae ke bare me vichar karo to hamesha  high quality aur trusted site par hi  Blacklice  banaye .


4 .  Internal link 


Same websites ke ek page ko dusre page se jodne wali link ko internal link kahte h . Isme hum apne blog ke indexed post ke saath apni new post ya non indexed post ko link kar dete h . 


Isse fayda ye hota h Google ke bots jab bhi kabhi aapke indexed post ko crawl karne ko aate h to post me linked hone ke karan aapke new post ko bhi crawl karte h . Aur blog post ke indexing aur  ranking  me madad karta h .







Backlink kaise banaye .( quality banklink banane ka tarika )




Blog ke liye content research kaise kare

1  .  Quality content publish kare


Apne blog me backlinks paane ka sabse accha aur trusted tarika h aapne post me acchi quality ke articles ko saamil karna . Acchi qualities ke article jo visitorsbko pasand aaye aur readers ko ussr kuch sikhne ko bhi mile .


Content ki quality acchi hone par visitors ke saath search engines ko bhi article pasand aayi h aur post google me acchi rank bhi pati h .




2  . Guest blogging par dhyan de .



Guest posting ab kafi popular ho chuka h . Kisi site se backlink pane ke liye guest blogging bhi ek acccha vikalp h . Aajkal har bloger guest blogging ke dwara kisi acchi site se backlink pane ki koshish karta h .


Kisi acchi aur trusted site ke liye  post likhna guest blogging kahlata h . Isse us site dwara aapko dofollow link milta h . Jisse aap apne post ko google me acchi rank dila sakte h .





3  .  Post me comments kare .


Apne blog ke related niche wali sites ke articles par acchi comments karke hum us bank se nofollow backlink pa sakte h . Aisi backlink se hume kuch had tak fayda bhi milta h .


Kisi acchi site ke article me comment karke apne blog ki link waanha dene par backlink ke saath saath kuch traffic bhi milti h .



Backink ke kya fayde h .


 Backlink banane ke kai fayde bhi h . Jaisa ki humne upar bhi jikra kiya tha backlink  , websites blogs ke SEO ka ek important term ya parts hota h . 

1  . Search engine me blog ki ranking badti h 


2  . Traffic badhta h.


3  .  Blog ki image badhti h apki blog ki wajah se pehchan bhi badhta h .


4  .  Bina promotion ke bhi blog jyada logo tak pahunch jata h .


To disto aaj aapne sukha backlink kya h backlink kaise banaye aur backlink ke kya fayde h .

Ummeed karta hun aaplogo ko meri ye post Backlink kya h aur kaise banaye backlink ke fayde acchi lagi hogi  to ise apne dosto ke saath jarur share kare .  Dhanyabaad