Blog post ke liye content research kaise kare  (in hindi)




Blogging me aksar naye bloggers ke pas apne blog post ke liye acche acche topics aur ideas to hote  h par phir bhi unhe article likhne me pareshani hoti h. Sun kar aap ko tajjub hua hoga par ye sach h . Kya aap jante h aisa kyun hota h ki post title ka ideas ke baad bhi article likhne me kyun 
pareshani hoti h .

Jaisa ki aap logo ko pata hi hoga ki search engines  google , bing ke pas lagbhag har topic par articles moujud hoti h . Aise me pehle se moujud article se bedhter article likhne ka saaf dabav har naye bloger par hota hi h . Kyun ki topic par kam jankari  ya limited jankari ke saath dusro se behttar article likhna hamesha muskil hota h. 

Lekin aapke is pareshani ko dur karne ke liye main aapko yanha kuch acche tips bata raha hun . Jisse aap apne blog me kisi bhi topic par badi asani se article likh sakte h .


  
Content research kaise Kare
Blog post ke liye content research kaise kare 











Sabse pehle hum janenge content kya hota h .




Content sabd ka matlab suddh hindi me samagri hota h . Yaani blogging me iska upyog imformation , entertainment aur suggestions ke liye karte  h jo ki text , audio aur videos form me ho sakta h . Tv aur mobile dekhna , Newspaper aur story book padna , jisme kisi madhyam se hum entertain aur information prapt karte h ye  hi content kahlati h .


Content ke prakar :


Content 3 tarah ke hote h 



1. . Text form :-

Janha hume text rup me ya likhit rup se information ya entertain mile . Jaise Newspaper, Books . Blogs text content ke atargart aate h.


2. .  Audio form :-


Jo content sirf awaz rup me ho use hum audio content kahte h. Jaise radio aur .loudspeeker audio aur mp3
 Songs and documentary  .


3. .   Images video form :-


Aisi madhyam jisme  apne content yaani information ko display kar bataya jata h . Jaise photos , tv ya videos .



Acche content kya hote  h .


Acche content ka matlab hota h jisme acchi aur sahi jankari ho . Jise padne me logo ko accha lage jisse we barbar padna chahe . Jisme text ,image aur video ka sahi prayog kiya gaya ho .

Ab tak to aap ko acchi tarah samajh aa gayee hogi ki content kya h  acchi contents aur content ke prakar se bhi aap bhalibhanti parichit ho chuke honge. 


To chaliye ab hum blog post ke liye apne article ke content research kaise  kare jaante h .


Content research ke tarike 




1.   Apne niche related articles padna


Google me dusre sites me aapke post ke keywords  related article ko padna aur acchi tarah samajhna .  Blogs me bataye gaye tarike aur jo tarike nahi bataye gaye h usse note karna. Blog ko present karne ke tariko sikhkar aap apne content me char chand laga sakte h .



2.   Wikipedia  


Wikipedia aaj internet me anginat jankarion ke saath duniya ka sabse bada jankarion ka khazana h . Janha aap ko har visay par harosemand aur satik jankariyan mil jaayegi. Yanha kisi bhi topic ki jankari sabse tej update ki jaati .
Kisi bhi topic par aap apni concept clear karke apne liye ek behtarin article likh sakte ho .



3.   You tube :



You tube aaj ke samay me lagbhag har tarah ke jankari audio video ke madhyam se logo tak pahuchata h . You tube me aap apne post related content search kar 
Uske bare me audio video ke madhyam se apne post ke liye content research kar sakte h .


4.   Books megazine pad kar :


Books aur megazine sabse purana aur viswasaniy tarika h kisi chize ya visay ke bare me satik jankari paane ke liye . Apne niche sambandhit books and megazine ko padkar aap apne content ke liye pukhta jankari ekkathi kare .Ek bar kisi visay me aapki jankari pukhta ho jane par aap asani se us topic par article likh sakte h .


5.   Apne personal experience aur logo se puch kar :



Aap apne life ke personal experience se bhi kuch content ki janch padtal kar sakte h ya phir us visay ke jankar kisi vyakti ke saath apne post ke topic par kuch charcha karke salah mashvira le sakte h . Aapko apni content ki kuch ideas to mil hi jayegi jisse aap apne blog article ko badhia tarah se likh paayenge .



To dosto upar maine aaplogo ke liye apne content research karne ke kuch upaayon ka jikr kiya h jisse follow kar aap apne article ke liye content research kar achi article likh paayenge .



Ummeed karta hun aap log ko meri article Blog post ke liye content research kaise kare (in hindi) acchi lagi hogi  . Dhanyawadj
.