favicon kya h ise kaise banaye aur bloger me kaise add kare .



Dosto jab bhi aap kisi browser pe koi site open karte ho tab aapko result me us site ka name logo ke saath show hoti h .  Yanha aap ko  aur ek icon show hota h jo ki aapke search result ke top me left side me show hota h . Ise hum favicon icon kahte h .

Agar aapne bhi apna blog banaya h to aapke blog me bhi upar left side me ek icon hoti h . Jo ki aapke dwara use kiye gaaye blogging platforms ki hoti h . Jaise bloger wordpress ke favicon her blog me default rup se diya gaya hota h .

Aaj ke post me hum favicon ke bare me janenge , favicon kya h ise kaise banaye aur bloger me kaise add kare .


Favicon kya h ise bloger me kaise add kare
Favicon kya h 








Favicon kya h




Favicon ek chota sa icon hota h jo hamare blog ke top left side me show hota h . Darasal favicon ka icon hamare blog websites ko ek alag pehchan dilata h .

Har blogs ki favicon alag alag hotai h jisse blog websites ko pehchanane me asani hoti h . Multiple sites yani kai sites ek saath khule hone par bhi favicon ke icon dekh kar koi bhi blog tak asani se pahunch sakta h .

Favicon ka icon pehchan ke saath saath hamari blog ko professional look bhi deta h . Humne dekha hi kaise bade bade websites ke favicon icon ko dekh kar hi us websites ko badi asani se pehchan liya jata h .

Bloger me label kaise add kare

Bloger blog me heading ka use .

Favicon kaise banaye 



Favicon k icon banane ke liye aap Adobe photoshop ka use kar sakte h agar aap aapko photoshop ki jjankari h to aap khud se bhi apne blog ke liye favicon bana sakte h . Par favion ka icon banane se pahle ye janana jaruri h ki iski size par vishesh dhyan diya hata h .


Photoshop ya koi aur app se favicon banane ke liye iski size  16×16 pixel hona chahiye  . Ye square size hona chahiye .


Agar aap ko photoshop ya koi photo editor app nahi aata h to koi baat nahi h aap phor bhi apne blog ke liye favicon bana sakte h .


Ji haan dosto aap internet ki madad se online  favicon bana sakte h . Iske liye aap ko favicon generator tool ka istemaal karna hoga .


Sabse pahle aap apne browser me favicon generator open kare .


Ab aapke samne favicon generator ke page par aa jayenge . Yanha aapko choose select karke apne pasand ka image ko select kar lena h . 


Image select karne ke baad create favicon me click kare . Click karte hi aapka favicon bankar taiyyar ho jayega . Use download karle . To aapne image se favicon banana sikha ab hum text se favicon banana sikhenge.


Bloger blog post me location share kare

Bloger blog post thumbnail perfect size

Bloger blog post me image upload kaise kare

Text se favicon  banaye .


Kai baar aapko  lagega image ki jagah main koi letter koi text ko icon ki tarah use karu . To aap uska bhi use kar sakte h . Colour background bhi select kar sakte h .





Favicon ke kya kya fayde ( benefits of favicon )




Blog me favicon ka use karne ke bahut sare fayde h 


1  .  Favicon ke use se aap apne blog ko ek unique pehchan banate h . 


2  .  Blog ko ek professional pehchan milti h . 


3  .  Kai sites khuli hone par bhi asani se blog ki pechan ho jati h .


4  .  Favicon aapke blog ya websites ko ek brand value dilata h .


5  .  Blog favicon se blog ke seo improve hoti h  . SEO me blog icon bhi ek karak hoti h .


6  .  Users ke bich blog ke prati viswas badta h   . Blog ke professional aur unique look ke karan users engagement badati h .


Bloger blog me favicon kaise add kare



Aapne jaan liya favicon kya h  favicon kaise bante h  favicon ke kya kya fayde h . Ab hum janenge favicon ko apne bloger blog me kaise add kare .


Apne bloger blog me favicon ko add karne ke liye ye step follow kijiye 


1  . Sabse pahle apne computer ke browser me login karke bloger.com open kar lijiye . Janha aap ne apna blog banaya hua h .



2  .  Bloger.com open karte hi aap ke samne bloger ke dashboard aa jaayegi . Dashboard me aapko settings me click karna h .


Select setting in bloger dashboard
Blogers dashboard



3  .  Ab aapke samne basic ka option aayegi uske niche aapko favicon ka option milegi select kar click kare .


Favicon settings
Favicon setting





4  .  Favicon ke option par click karte hi aapke samne ek window khulegi . Yanha aapko choose file ke option me click karna h .



Choosr file for favicon settings



Ab aapko apne file janha aapne favicon ko download kar rakha tha use select kare . Select karte hi apka favicon show hone lagegi  . Ab aap save par click kar le .


Bas ab aapke blog me favicon ka icon upload ho chuka h.


Conclusion 


To aaj humne jana favicon kya h favicon kaise banaye favicon ke fayde aur apne bloger blog me favicon kaise add kare .



Dosto aap logo ko meri ye post favicon kya h ise kaise banaye aur bloger me kaise add kare  kaisi lagi ummeed karta hun aaplogo ko post pasand aayee hogi  ise apne dosto ke saath jarur share kare .