Bloger blog post thumbnail perfect size jane 





Dosto aaj hum baat karenge Blog post me use kiye jane wale thumbnail ki  aur Blogger blog post me thumbnail image size kitna hona chiye .

Naye blogers ke liye ye janana bahut hi jaruri h ki blog post thumbnail ki size kitni honi chahiye . Kyunki aksar dekha jata h naye blogers kisi software ya app se thumbnails ya image bana to lete h .

Par sayad kam jankari hone ke karan image ke size par dhyan nahi dete h jo aage chal kar unhe kafi dikkat face karna pad sakta h .

Image ki size adhik hone par uske loading  time adhik hogi jisse readers ko pareshani hogi jo ki aapke blog ke liye sahi baat naahi h .
Ek aur baat jis par naye blogers ko dhyan dena chahiye . Jab bhi hum koi post likhte h to uske promotion ke liye Facebook Instagram tweeter aadi platforms ka use karte h .

Jab bhi hum in platforms par apna blog share karete h to size kam hone ki wajah se ye kafi choti show hoti h .








Blogp post thimbnail size
Bloger post thumbnail size



Bloger blog post thumbnail size



Agar aap chahte h aapki post thumbnail sabhi platforms par sahi tarah se show ho to aap ko thumbnail ke size par khas dhyan dena hoga .

Taki aap janha janha apni post share kare har jagah aapki post thumbnail ekdum fit baithe .


Kai blogging platform jaise WordPress me aap koi bhi thumbnail alag se laga sakte h par Bloger blog post me aisa nahi hota h .

Bloger blog post me aapne jo bhi image apne post me kiya h aur jo image ko sabse pahle use kiya h wahi image aapke post ki thumbnail banjata h .

Isliye image ka use karte samay iska khas dhyan rakhe . Apne jis image ko aap apne post ka thumbnail banana chahte h use hi sabse pahle use kare .


Ab hum bloger thumbnail ke size ki  baat karenge kyunki aksar naye blogers ko iske size ko lekar confusion rahta h .

File size  ko hum 2 tarah se samajh sakte h  file size aur pixels size  .


Sabse pahle hum ye janenge thumbnail size  ka matlab h file load hone me kitni time leti h jo kb ya mb size me hoti h . Aur uske load hone me kitna data kharach hoga .

 Dusra h pixel size  jo ki image ke hight aur width ki size hoti h . For example kisi image ki pixel size 1200×720 h iska matlab image ki width 1200 aur height h 720 pixel .

Yani jis image ki pixel size jitni adhik hogi uski file size bhi utni adhik hogi .





Bloger blog post thumbnail ki size ke liye perfect file size 100 kb se kam mana jata h . Taki image ko load hone me jyada samay na lage . Kyunki file ki size adhik hone se uske loading time jyada hogi jisse readers ko pareshani hogi .

Agar readers ko pareshani hogi to wo site me apna interest nahi dikhayega . Jisse site ya blog ke readers sankhya me kafi girawat aa jaayegi .

Ab baat karte h image ke pixel size ki to blog post thumbnail ki perfect size 600×314 pixel rakh sakte h ya thoda aur bada karne ke liye 1200×628 pixel rakh sakte h .

Agar blog post  thumbnail ki size ko upar bataye size ke anusar rakha jaye to social media me share kiye gaye image ki size bhi perfect rahegi jisse blog ke readers aur users ko accha experience milega . 

Users sur readers ko blog me accha experience milne par wo akshar blog me visit karenge . Jo ki blog ke liye bahut accha h .








Bloger blog post thumbnail ko post me kaise aur kanha lagaye .




Jaisa ki humne upar bataya h bloger blog post me hum jo bhi image use karte h , sabse pahle use kiye gaye image ko hi bloger me thumbnail ke rup me use hota h . Yani pahle use kiye gaye image ko hi bloger me thumbnail mana jata h .


Isliye jab bhi post likhna suru kare to dusre paragraph ke baad ya janha bhi aap image lagana chahte h . Wanha click karke edit tool baar se image upload kar le .

Image upload ho jane ke baad . Image me click karke alt text aur title text ko add karle .  Diye huye kai option se original size select karle . Ab update par click karle.


Blog post thumbnail size


1 .  File size 100kb se kam 

2 . Image pixel size  1200× 628 ya 600×314 pixel

3 . Blog post me image upload karne ke baad image ko original size me set kare .

4 .  Image upload hone ke baad alt text and title text jarur add kare .

Upar bataye gaye tarike se apna blog post banaye jisse thumbnails kanhi bhi use karne par perfect size ke saath har platforms me sahi se fit ho jayegi .

Ummeed karta hun aab aapko bloger blog post thumbnails perfect size ek jankari acchi lagi hogi . Agar post acchi lagi ho to apne dosto ke saath jarur share kare .