Jab hum blogging ki suruaat karte h to hum chahte h hamari post jaldi SERP me show hone lage . Is wajah se hum jaldi jaldi post publish karne lagte h . Blogging karte samay hamara dhyan acche content ke upar hota h . Jald hi hamare blog me 10 se 15 post publish bhi ho jata h .


Blogging karte huye kuch samay baad hume mehshus hota h ki hamare blog me aane wale readers sirf ek post pad kar blog se exit ho jate h . Ye hamare blog me aane wale traffic par bura asar dalta h. 

Blog me apne readers ko engage rakhne ya unhe jyada samay tak roke rakhne ke liye hum apne blog ke sabhi posto ko ek dusre se internal link karte h . Aaj ke post me hum janenge kisi  post me dusre post ki link kaise add kare .


.

                            

post me dusre post ki link add karna
Post me link add karna



Jab hum chahte h ki hamare blog ke readers hamare blog ki anya posto ko bhi pade.  To hume iske liye imandar koshish ye karni chahiye ki hamare pathako ko un anya post ki bhi jankari ho .

Par yanha sawal ye aata h ki hamare kisi post me aanewale pathak . Unko hamari anya post ke bare me jankari kaisi hogi . Kya  pathako ko swayam un posto ko dhundna hoga . Kya koi pathak aapke blog me koi post dhundne me itna samay dega .

Jahir si baat h aise kam pathak hi karenge . To iske liye aapko apne pathako ko apne dusre posto ki link uplabdh karwani hogi . Aisa aap apne kisi post me aur bhi dusre posto ki link ko add karke kar sakte h .

Blog post me apne dusre post ki link share karna Internal linking kahlata h . 


Hindi ya hinglish blogging kisme kare


Internal link kya h 


Sabse pehle hum janenge internal link kya h . kisi blog post me kisi dusre post ka link lagane ki prakriya ko internal link kaha jata h . Internal linking blog ke pathako ko blog me samay bitane ka mouka deta h . Jisse blog ki bounce rate control hoti h .

Internal link ka use lagbhag her bloger apne articles me karte h . Jisse unke blog me acchi traffic aaye . Acchi traffic ke aane ka matlab blog ki success aur acchi kamai ka hona .

Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye

Blog post me dusre post ka link kyun lagaye


Blog post me internal link ya dusre post ka link ka use karne ke kai fayde h . Visitors ko hamare ek post se dusre post me jaane me asani hoti h . 

SEO ke najariye se bhi accha h . Blog me visitors kuch time spent karte h jisse bounce rate control bhi hoti h . Adsence approval me bhi madadgar hota h . 

Blog post me indexed post ka link add hone se naye post ki indexing me bhi madad milti h . 

Bloger blog post me image upload kaise kare

Bloger post me headings ka use kaise kare 

Blog post me dusre post ka link add karne ke fayde .


Blog post me dusre post ka link add karne se hamare blog ke readers ko hamari dusri post me jaane me asani hoti h . Ek hi post se dusri post tak pahuncha ja sakta h .

  1. Readers ko ek hi post me dusre post ka link milne se readers hamari site par adhik samay tak rukte h . Isse hamari blog ki bounce rate control hota h .
  2. Blog post ke Seo me accha Prabhav padta h.
  3. Hamari blog me traffic badhti h 
  4. Hamari blog ki ranking bhi badti h 
  5. Blog me traffic badne ke karan blog se acche income ke chances hoti h .

Label kya h blog me label kaise add kare

Blog post me dusre post ka link kaise add kare


Sabse pahle bloger ke dashboard me post ya new post par click kare .

Ab aapke samne post editor ka page khul jayega .

Ab post me jis jagah me aap ko link add karna h wanha click kare.

Post editor ke tool baar me link ke icon me click kare .





Ab aapke samne ek  window khulegi janha aap ko post ka name aur url link likhna h .



                  



Text to display -- yanha aap ko post ka naam likhna h ( jis blog post ka link add karna chahte h )

Blog ko google search console me kaise add kare

Paste or search for a link --yaanha aap ko us post ka url ka link likhna h .


Open this link in a new window -- Agar aap chahte h koi bhi aapke dwara diye gaye link me click karpost padne ke liye kisi dusre window me open ho jaye to aap ko is box me tick karna h .

Dream11 aps se paise kaise kamay

Add 'rel= nofollow'attribute -- Agar aap chahte ho ki search engine aap ke post ko index na kare to aap yanha tick kar sakte h .

Ab finally aap apply me click kar sakte h . Ab aapke post me dusre post ka link add ho jayega .


Conclusion

Aaj aapne blog ke pathako ko ek hi jagah kai jankariyan uplabdh karwane ke liye . Aur ek hi post se hamari dusri posto tak pahunchne ke liye . Aaj aapne sikha blog ke ek post me blog ke dusri post ka link kaise jodte h .


To dosto aaplogo ko meri ye post Bloger blog post me dusre post ka link add kaise kare kaise lagi ummeed karta hun acchi lagi hogi . Agar is post me aako koi  jankari purn baat lagi ho to . Ise apne dosto aur social media me jarur share kare .