Bloger blog post image ko SEO friendly kaise banaye.




Hello dosto hum aksar apne post ke liye content likhte samay SEO par khas dhyan dete h . Taki hamare article google me acchi perform kar sake . Iske lie hum aksar blog post me images ka use bhi karte h  . Par kya aap jante h post me images ko use karne se pahle use bhi SEO ke according yani ki SEO friendly banaya jata h . Aaj ke post me hum images ko seo friendly banane ki prakriya ke bare me janenge .


Jaisa ki hum jante h kisi visay ko image ke saath samjhna aur samajhana bahut asan hota h , saath hi samne wale ko bhi visay easy and interesting  lagta h . Blog me image ka use karna blog ko interesting aur dekhne me attractive bhi banata h  . Par blog me image ko use karne se pahle Bloger blog post image ko SEO friendly kaise banaye ye janana jaruri 


Seo friendly post images banaye
Seo friendly post image banaye








Agar aap bhi apne post me koi images ka use karna chahte h . To aapke liye ye janana jaruri h ki post me image ko use karne se pahle optimize karna jaruri hota h . Jisse search engines asani se aapke post images ko samajh sake.



Blog ki image ko seo friendly banana kyun jaruri h .


1  .  Jaisa ki humne upar bataya h blog ke har post me images ka use karna chahiye . Kyunki search engines ke bots jab bhi hamare blog me crawal karte h . Hamare blog me anya chijo ke apeksha blog images ko pahle notice karta h . 


2  .  Search engines  ke bots generally hamare dwara upload kiye huye image ko sahi tarah identify nahi kar pati h .


3  .  Apne blog images ke bare me search engines ko samjhane ke liye hum SEO ke accordingly optimize karte h . Taki search engines hamare blog images ko easily read kar sake .


Custom redirect kya h ? Bloger me url redirect kaise kare

Bloger blog post me image kaise upload kare

Blog post title discription aur url kaise change kare

Blog banane ke baad kya kare

Blog image ko seo friendly kaise banaye




Ab to aap samajh hi chuke honge ki blog post me images kyun lagate h aur uski kya importance h . Ab jab hum apne blog post me koi image upload karte h . Tab hamara pahla kaam hota h images ko search engine ke accordingly banana . Taki search engines hamari post images ko samajh sake .


Search engine ke according yani seo friendly images . Kyunki jaisa upar bataya gaya h search engines images ko read nahi kar pate h . Iske liye hume  images ko optimize karke search engines ke samajhne layak banate h .Ab hum aage SEO friendly images banane ke bare me janenge .


Sabse pahle hum koi image select karenge . Ab image ko upload karne se pahle hume images ke saath kuch changes karne honge . Jisse search engine ko hamari image samjhne me asani hogi .



Rename image



Kyunki search engines sirf images se ye nahi jan pati h ki diya gaya images kis bare me aur kis chij ki h . Isliye hum images ka name ya phir uske bare me likhte h .


Jab bhi hum koi image upload karte h chahe wo kanhi se download kiya gaya ho ya apne khud ke camera se click kiya gaya ho . Hume uske name changes karne hote h .


Har images ka ek name machinery language me  ya fir uske creator dwara rakha gaya hota h . Edit karke uska rename apne post ke hisab se rakhna hota h .



Image  size



Blog me images use karne se pahle uske size par khas dhyan dena chahiye . Blog post me images use karne ki koi khas size to nahi h . Par jaise ki images ki size adhik hone se iska asar iske loading side par padegi . 


Aur agar apki images load hone me samay legi to visitors ke liye ye jhujhlahat ka karan ban sakti h . Jisse visitors  ke blog me dubara aane me sandeh rahta h .


Images size ko kam ya adhik karne par iske quality par asar padne ki sambhavna rahti h . Jiske liye online compressor ke dwara resize kiya jata h jisse iske quality par farak nahi padta h .


Caption



Blog images par caption waise to bahut jaruri nahi hota h . Par apne post image ke bare me kuch likhna ho to aap yanha likh sakte h . Caption likhne ka karan h image ke bare me alag se kuch likhne ki jarurat nahi h. 

 Yanha ye kahna galat nahi hoga ki caption add karne se hum 2-4 word likh kar adhik likhne se bach sakte h .


Blog me image ka use 



Upar kisi image me click karne par kuch settings show hogi . Usme A par click karne par aapko image ke niche  add caption option show hogi , apne image ki koi accha sa caption likhle .

Ab upar ke image me setting ke icon me click karne par alt tag and title likhne ke liye ek window khulegi 



Alt tag and title




Alt tag me hume search engines ko ye batana hota h ki images kis chij ya kis visay me h . Jab hum apne post me koi image add karte h to search engine use samajh nahi pata h .

Bloger me headings kya h . Headings ka use

Agar hum alt tag add nahi karenge to hamari dwara upload kiya gaya images bina name aur Bima pehchan ka mana jayega . Jise samajhna search engine ke liye muskil hoga .


Alt tag likhne ke baad ab title me hume apna title likhna h ya fir aap apna url bhi likh sakte h . Jab bhi koi aapke images pe apna pointer rakhega tab ye show hone lagega .


Alt tag
Alt tag aur title kaise likhe





Image format


Hum jo images blog post ke liye select karte h  wo jpg ya phir png dono hi format me ho sakti h . Par yanha dhyan de ki jo images acchi quality ka ho use hi upload kare .


Image ki quality ke saath post related images hi uppload kare . Bewajah aur unrelated images blog seo ke liye sahi nahi hota h . Ye seo par bura prabhav dal sakta h .

Kya blog banane aur blogging me paise lagte j

Upar humne kuch upay bataye h jisse blog post image ko seo friendly banaya ja sake . Ab hum apne post me ise add karne ka tarika janenge .

Sabse pahle hum apne blog post ke liye ek sahi image jo ki hamare post ke liye sahi ho . Use select karenge .

Ab agar image ka size sahi h to thik h agar  nahi to aap kisi online compressor tool se size kam kar sakte h

Yanha aapke jankari ke liye bata du size kam karne se quality me koi garak na pade iske liye online compressor tool ka use kare .

Blog post google .e show ho raha h ya nahi .

Upar bataye gaye tarike se image ka caption aur alt tag and title likh le . Is tarah aap asani se apne blog post image ko asani se optimize karke seo ke according bana sakte h .

Dosto ummeed karta hun aap logo ko meri ye post Bloger blog post image ko seo friendly kaise banaye in hindi acchi lagi hogi .