Permalink kya h ? Blog post me permalink kaise banaye
Permalink kya h ye har naye bloger ko jarur janana chahiye . Aaj ke post me hum permalink kya h ? Blog post me permalink kaise banaye ke bare me janenge .
Permalink ko slug bhi kahte h permalink yaani permanent link .blog ko success hone me permalink ki aham bhumika hoti h .on page seo me permalink ek jarurri factor h . Permalink kisi bhi blog post ka url hota h. Jo blog ko short me acchi tarah define karta h .
Permalink kya h ?
Internal linking kya h SEO ke liye
Permalink kisi bhi webpage ya blog post ke url ko kahte h . Blog post ka url means blog post ka address. Ab address kisi bhi site ya post ke liye kitni jaruri h yah to aap ko acche se pata hoga .
Permalink yani sthaee link apne naam ke anusaar permanent taur par hota h jo ki samay ke saath bhi nahi bdalta h .yani permalink ko badla nahi ja sakta h .
Permalink kya h |
Permalink kaisa hota ya kaisa dikhta h.
Blogger aur WordPress me permalink alag alag tarah se show hota h.
Blogger me
https://domain.com/year/month/keywords (har words ke bich "-" ke saath )
WordPress me
https:// domain.com/keywords("-" har words ke bich )
Seo me permalink ki importance
Search engines ke liye permalink bahut important role play karta h . Post ki title , content aur meta description ki tarah permalink bhi post ke google search result me acchi rank paane me madadgar hoti h.
Ek acchi tarah likhi permalink google ke search engine me blog post ko acchi ranking dila sakta h.
Search engines permalink ko asani se samajh sakta h jisse permalink me stith keywords aur title ke saath meta description ke keywords se pata laga leta h ki post ka content kis bare me h .
Permalink se hi hum apne content ko kisi ke saath share kar sakte h kisi bhi websites me hum permalink ke dwara hi hum apna link share karte h .
0 Comments
एक टिप्पणी भेजें