Google me apne blog ki position kaise check kare. 


Har blog aur blogger ka yehi prayash hota ki unka blog Google me accha rank aur positon hasil kare iske liye har blogger apni aur se apne blog me jamkar mehnat bhi karte h taki unka blog Google me accha perform kare .

Kya aap jante h hum apne blog ke position ko check kar sakte h. Aayeeye hum jante h ki Google me apne blog ki position kaise check kare .


Blog position jane
Blog position jane 


Bahut mehnat karke apne blog ke liye article likh kar publish karte h par google me hamare blog ko rank hone ya show hone me samay lag jata h. Kya aap janate h aisa kyun hota h . 

Aisa isliye hota h ki hamane jo article likhi h us topic par pahle se hi kafi article likhe ja chuke h aur we Google ke search result me pahle se hi moujud h. 

Pratidin Google me lakho hajaro blogs likhe jaate h . Aise me hume pahle se moujud blogs aur naye blogs dono se behtar article likhne ki jarurat hoti h. 

Google me acche rank hasil karne ka matlab ye katai nahi hota h ki hum kisi bhi aisi visay me  article likh kar rank hasil kare jise log padna hi nahi chahte . Aise visayo me to asani se accha rank mil jaayegi par jab us article ko padne wala hi na ho ( na abhi na bhavisya me)to aisi article ka kya fayda .

Hume unhi visayo me likhna chahiye jise log padna chahte h jis visay ko log pasand karte h. Bhale hi us visay me kafi article likhi gayee ho.  

Aapne dekha hoga bazaar me kai mithaee ki dukane hoti h par phir bhi ek naya dukandar usi bazaar me apni mithaee ki dukan kyun kholta h , jabki use acche se malum h ki waanha pahle se hi kafi dukane h.

Kyunki dukandar ko malum h ki use acchi mithaee banani hogi auro se behtar aur swadist mithaee .

Iske liye use grahako ko viswas dilana hoga ki we uski mithaee kyun kharide  , jaise hum acchi quality ki mithaee banate h , achi quality ka saman use karte h , hamare yanha saaf safai ka dhyan rakha jata h aur phir dukan kuch attractive hona chahiye . Bus grahako ko aur kya chahiye. 

Thik isi tarah hume search engines ko batana padta h ki humne ek blog banaya h usme aisi informatio milegi is language me milegi aur saath hi acche content aur unique content milenge . 

Iske liye hume apne blog me high quality ke content likhne honge , jo unique aur informative bhi ho . Jo logo ko pasand ho jo Internet me pahle se ho .

 Par apke article informative aur likhne ka tarika aisa ho ki logo ko padne me intresting lage .

Article acchi likhne ke saath saath hume apne blog post ka SEO optimize karna hota h jisse hamari post google me jaldi se index ho jaye .

Blog post ke index ho Jane ke baad ab hume apne blog ke performance position janne ki iccha hoti h. 

Kya aap jante h ki hum apna blog position check kar sakte h. Yaani hum ye jaan sakte h ki hamara blog Google ke search result ke kis position aur kis page me show hota h. 

Bloger post ko current date me republish kare

Bloger me text aur font ki size ko change kaise kare

Bloger blog me url banana sur edit karna sikhe

Blog aur blogging kya h . Blogging kaise kare




Blog post ke on page SEO aur off page SEO kar lene ke baad ab bari aati h apne blog ko Google search console me add karne ki taki google ke search engines hamari blog ko acche se samajh kar jadi se blog post ko index kar Google me show kare .

Par hamara blog kis position me show ho raha h aur kis page me show ho raha h .


Blog position janne me Google search console hamari madad karta h aur hume batata h ki humari blog Google me kitni bar dikhaee gayee kitni bar logo ne click kiya aur kis position par dikhaya ja raha (average) .

Chaliye ab hum janate h hum Google search console ke madad se apne blog position kaise Jane .


Blog position kaise check kare .


Agar aapne apne blog ko Google search console se add kar liya h to ab aap in steps ko follow kar asani se apne blog ke search result position pata kar sakte h. 

  • Sabse pahle google search console me log in kare 
  • Apne blog ko select kare , jis blog ka search position pata karna ho. 
  • Ab performance par click karna h .
  • Performance par click karte hi apke samne 4 result show honge


  1. Click 
  2. Impression 
  3. Average CTR
  4. Average position 






Blog position checking
Blog position checking






Isme aap dekh sakte h kitne logo ne aapke blog me click kiya 

Impression yaani aapke blog kitne bar search results me dikhaye gaye. 

Average CTR me impression par click ka average. Jaise 100 impression me 10 click hota h to average CTR 10% hoga.

Average position me aapke blog ke search display position hoga . Par iska matlab ye nahi ki blog ke har post usi position me show hogi . Ye sirf pure blog ke search average h .

Ab to aap ye samajh chuke honge ki blog ki search/dispaly position kaise check kare. 


Aaj ke is article Google me apne blog ki position kaise check kare se maine aap logo ko Google me blog ki search /display check karne ke visay me jankari dene ka prayash kiya h aasha karta hun aap logo ko ye post acchi lagi hogi. To Kripaya comment kar jarur bataye.

Dhanyawaad