Internal linking kya h internal linking kaise kare iske fayde kya h .. 


Hello dosto ek bloger ke liye internal linking kya h aur kaise kare jana pahchsna sawal ho sakta h par ek naye bloger ke liye sayad ansuna sawal ho . Par is post ko padne ke bad naye blogers ko bhi internal linking ke bare me acchi jankari ho jaayegi .



Aaj hum blog post ke seo ke ek behad jaruri aur  mahatvapurn part internal linking ke bare me baat karenge . Ye blog ke liye itna jaruri kyun h . Inhi sawslo ke jawab paane ke liye Internal linking kya h Internal linking kaise kare iske fayde ko aant tak pade .




Internal linking kya h kaise kare
Internal linking






Internal linking kya h .






Blog post ko search result page me acchi rank dilane ke liye hum blog post ka seo karte h . Uske antargat hum apne  website ya blog ke kisi page ya post ke link ko apne blog website ke dusre post page ke saath link karte h . 


Yaani kisi  same blog website ke pages ya post ko apas me link karne ko internal linking kahte h . Isse blog ke readers ko ek post padne ke baad dusre post me jaane ke liye pareshani nahi hoti h . 


Ek post padne ke baad unhe wapas post list me nahi aana padta h balki post me diye gaye dusre post ki link se hi wo dusre post tak pahunch jaata h . Ab to aap samajh gaye honge ki internal linking kya h .



Internal linking karne ka tarika .



Internal linking karte samay blogers ko khas dhyan dena chahiye  .  Jaisa ki naye blogers karte h jankari ke abhav me kishi bji tarah post ko ek dusre se link kar dete h . Agar linking sahi se na ki jaaye to usse nuksaan to nahi par koi khas fayda bhi nahi hota h . Isliye internal linking se pahle in baato ko amal me jarur laye .


1  .  Same keyword par linking kare 

       Blog ke post linking karte samay same keyword wale post ko link Karne ki koshish kare . Post me use kiye gaye keywords se related dusre post ko link kare .

Maan lijiye aapne ek post likha h keyword kya h aur dusri post keyword kaise select kare . 

Aapne apne post keyword kya h me keyword kaise select kare ke bare me likha h . To aap apne post keyword kaise select kare ka link post keyword kya h me dena h .



2   .  Post ke sammnantar topic se link .

        Hamesha apne post ya topic ke sammnantar topic ya post se link kare . Milte julte topic se link hone par readers ke linked post ko padne ki sambhavna adhik hoti h . Same niche wale post ko hi link kare .


3   .    Blog ke important post ko link kare.

          Apne blog ke important post ko dusre post se link kare . Isse ye fsyda hoga ki aapke important page se linked  hone ke karan us page ya post ke readers ko aapke dusre post ke bare me pata chalega aur wo un post ko bhi  padh sakte h . 


4   .     Ek hi post me jyada linking na kare 

            Post Interlinking  karte samay kewal ek hi post par jarurat se jyada lining na kare . Jyada link hone par readers visitors ko post padne par pareshani ho sakti h . Apne post ke length ke hisab se aur jarurat ke hisab se hi linking kare .


Ek post me kam se kam se kam 3 ya 4 linking jarur kare waise agar sahi tarah se internal linking ki jaaye to 10 se 15 link ek samanya post ke liye kiya ja sakta h .


5   .  Broken link ko hataye .

         Post linking ke samay aise post jo error show karti ho us post ke saath kisi post ki linking na kare . Linking karne ke liye us post ke error ko pahle thik kare . Aise broken linked   post se seo par bhi asar padta h . 



Internal linking ke fayde.



Seo ke najariye se blog se behtar result hasil karne ke liye internal linking ek accha aur mahatvapurn tarika h . Jiske kai fayde blog ko milti h unhi me se kuch faydo ke bare me jante h 


i   .      Internal linking se link juice pass hota h  jisse blog ke post link hone ke karan blog ke ranking bhi improve hota h .


ii   .     Blog me organic traffic badta h .


iii  .      Post ke apas me inter linking ke karan readers ko padne ke liye dusre article milti h jisse wo blog me kuch samay bitata h .  Jisse blog ke bounce rate ko control kiya ja sakta h .


iv  .     Readers ko ek post se dusre post me jane  me asano hota h jisse use  blog me accha experience milta h . 


v  .     Page view increased karta h . Visitors ko blog article me acchi navigation milne ke karan page view badta h .


vi  .   Blog indexing ke problem me madadgar hota h aur post ke fast index ke chances bhi bad jata h .


Internal linking kaisr kare  .bloger blog me internal linking .


Sabse pahle aapko apne blog me login karna h . 


Dashboard se post ko select karke post list me aa jaaye .

Post select


Ab list me se post ko select karle . Jis post ki link dusre post me dalna h uske url ko copy karle .


Ab jis post me link add karna h use select karle . Use open kare .


Ab post ke post editor page me aa jaye  . Aapke samne wo post khul jayegi .


Post link


Ab jis jagah me aap ko link add karna h us khali  jagah me  click kare .




Ab post editor ke tool baar me link ke option ko select kare . Aapke samne rk window khul jayegi .

Link option



Ab window me


 text to display me word likhe jo aap link me show karna chahte ho ( link related ho)


Paste or search for link  .e aapne jo url ki link copy ki thi use paste kare .


Open this link in new window me tik kare ab niche apply par click kare .


Post linking






Ab aap dekh sakte h aapke post me dusre post ki link add ho chuki hogi .



Aaj aapne kya sikha 


Aaj lr post me aapne sikha internal linking kya h Internal linking kaise kare aur iske kya fayde h .


Dosto aaplogo meri post internal linking kya h internal linking kaise kare iske kya fayde h acchi lsgi ho to ise apne dosto ke saath jarur share kare .  Dhanyabad