Niche kya hota h ? Blogging me niche selection and importance .





Blogging ki duniya me niche ka matlab hota h topic ya visay  selection. Jis visay ya topic par aap blog likhna chahte h us visay ya topics ko aapke blog ka niche kaha jata h . Aaj hum janenge niche kya h ? Blogging me niche selection and uski importance .

Niche ek blog ka pehchan bhi hota h jisse aap ke blog ke bare me pata chalta h ki blog kis visay me jankariyan uplabdh karwane wali h. Ek accha niche aapke blogging career aur aapke blog ko us mukam  tak pahuncha sakta h jis uddesya ke liye aapne blogging suru ki hogi. 



Niche kya hota h .
Niche kya h


Niche kya h 


Niche blog ka topic hota h jiss topic par blog me jankariyan di jayegi . Blog me jis visay category ke upar bataya jayega information share kiya jayega . Jaise agar kisi blog me career ke bare me information suggestion share kiya jatah to us blog ka niche hua career .


Niche aur content 


Kya aap bhi blogging suru karna chahte h par blog suru karne se pahle dubidha me h  aur apne blog ke visay yani niche selection  ko lekar decide nahi kar pa rahe h. 

Aapko chinta karne ki koi baat nahi h ye ek swabhawik baat h naye bloggers ke saath aisa hota h. Chaliye main aapki  blog niche selection me kuch madad kardeta hun . Bas aap ye article ko pura pade aapko apne blog ke liye niche selection me bahut madadgar hogi. 


Blogging me content ka bahut mahatwa h isiliye kaha jata h content hi raaja hota h . Aap chahe apne blog ko kitna hi accha design kar le par log aapke blog me aapke acche content ki wajah se aayenge .

Aapke blog ki achi design se bhi log attract to honge par we blog par baar baar sirf5 aapke content ki hi wajah se aayenge 

Yanha aapko aapke blog me articles acche quality  ke likhne honge. Iske liye ek acche niche jo aapke manpasand ho jaruri h jispar aap asani se ache ache artticles likh sakte h 



Types of niches



Blogging me mukhy three type ke niche ka pryog kiya jata h.


1  . Multi niches :

Is tarah ke niches me kai tarah ke visay me article likha jata h. Ek hi blog me health , sports , fashion, tech visay me content mil jayegi . In blogs me kafi traffic hoti h par traffic ki quality itni acchi nahi hoti h .


2  .  Single niche :


Single niche blog me ek  visay ya topic par focus karke blogging ki jati h . Agar travel niche ke sath blog h to us blog me sirf travel related article hi milenge . Aise blog me bhi traffic achi hoti h aur traffic ki qualidty bhi thik rahti h .


3  .  Micro niche :


Micro niche blogging me kisi  niche ke particular topic par article likha jata h . Jaise Fashion related blog me child fashion par article likhna iska example h janha sirf child fashion related articles hi dekhne ko milegi. Aisi blog par traffic kam par strong hoti h .


Agar aap sirf shouk ke liye blog banana chahte h to aap kisi bhi niche ke saath apna blog suru kar sakte h par agar aap profession ke liye blogging karna chahte h tab aap ko ek perfect niche ke saath apna blog banana chahiye. 

Blog ki basic settings kaise kare

Blogging me niche ki importance .


Aaj rojana hajaro naye blogger apni blogging journey suru karte h par kuch log bich me hi apni blogging journey rok dete h. 


Sayad iski sabse badi wajàh galat niche ka chunav hi hota h . Joki dusro ke dekha dekhi niche selection kiye jaane ke karan unka interest dhire dhire kam hone lagta h ek stage ke bad unko samajh nahi aata me aage kya likhun  .


Chunki ye niche unke manpasand ka nahi tha to ek samay ke baad blogging unko bojh ki tarah mahshus hone lagati h aur  manse blogging nahi kar paate h.


Par Yadi niches aapke pasand ka hoga to aap ko article likhne me anand aayega aap apne pure man se article likhenge .Blogging me safalta paane ke liye mehnat ke saath lambe samay tak likhna padta h agar niche aapke pasand ka hua to aap bina ruke us topic par lagatar article likh paayenge .jo ki ek blog ke liye bahut jaruri h.


Blogging me niche selection
Blogging me niche selection 


Blog ke liye niche selection


Ek blog ki safalta me content ka aham role hota h  aur content ko accha banane me ek acchi niche ki bhumika mahatwapurn hoti h. 

Apne blog ke liye niche  selection karte samay apni pasand ka chune .Yanha pasand ka matlab jis visay ki aap ko acchi jankariyan ho. Us visay me aapko likhna  , padna  ,baate karna accha lagta ho .

Apne manpasand visay me likhna hamesha acchi result deta h. aur asani bhi hoti h.

Apne pasand ke visay me aapko sikhna aur sikhana dono me asani hogi .

Jis topic par aapki knowledge acchi hogi aap dusro ko acchi tarah explain kar sakte ho .

Blogging me safalta pane ke liye lambe samay  tak likhna hota h jo aap apne pasand ke visay par likh sakte h.


.

Bloger post me headings ka use kaise kare

Aapke blog ke liye niche selection  karne ke pahle in baton ka khas dhyan rakhe .


1  . Aap  blogging kyun karna chahte h yani shoukiya taur par ya kamayee karne ke liye.

2  . Aap kiske liye likhna chahte h yani apke targeted readers koun honge. 

3  . Readers ke interest log kya seach karte h we kya read karna pasand karte h.

4  . Niche ka future dekhna .Future me bhi us topic par content likha ja sakta h ya nahi. 

5  . Cpc check karna  . Blogging se earning karne ke liye cost per click  pata hona chahiye .

Blog ko google search console me kaise add kare

Yanha maine aap logo ko niche kya hota h aur niche selection and importance ke bare me jankariyan uplabdh karwane ki koshish ki h .Jisse aap ko apne blog ke liye niche selection me kafi madad mili hogi .

Dosto aap logo ko meri ye post niche kya h .Blogging me niche selection and uski  importance kaisi lagi .Ummeed karta hun acchi lagi hogi,  agle post me kuch aur jankariyan le kar hajir hounga. Dhsnyawad .