Mobile se blog kaise banaye aur mobile se blogging kaise kare


Dosto agar aap bhi apna khud ka ek blog banana chahte h par computer ya laptop na hone ke karan aap apni blog banane ki tamanna puri nahi kar pa rahev h . To ye post aapke liye bahut hi rahat dene wali aur apne sapno ko pura karne wali sabit hogi .

Ji haan dosto yanha aaj ke post me main aap ko bataunga aap mobile se bhi apne blogging ke sapne ko pura kar sakte ho

Mobile se blog kaise banaye aur mobile se blogging kaise kare . Ye post khas kar  un yuvaon ke liye h  jo ki apna blog bana kar blogging ki duniya me apna yogdaan dene ke liye  bilkul taiyyar h . To chaliye dosto jante h kaise hum mobile se blog banakar  blogging kar sakte h .



Favicon kya h ? Bloger blog me kaise add kare



Mobile se  blog banana aur blogging karna
Mobile se blog banakar blogging 


Blog banane ke liye jyadatar blogger suruaat bloger.com se karte h kyunki ye kafi asan hoti h . Agar aap bhi apne naya blog suruaat karna chahte h to aapke liye bloger se suruaat karna behtar hoga .


Waise aap wordpress me bhi blog bana sakte h . Iske liye aap ko kuch paise kharach karne honge.  


Bloger me aap free blog bhi bana sakte h yani blog banane ke aap ko koi paise nahi dena padega . Par safal bloggers ki mane to blog me domain name ke liye kuch paise invest karna behtar hota h .


Mobile se blog banane aur blogging karne sambandhit jankari se pahle hum blog aur blogging ke bare me jaan lete h .


Bloger post ki backup kaise le


Blog kya h .



Blog ek tarah se websites ki tarah ka ek digital diary hota h . Blog me log apni jankariyan chahe wo kisi bhi visay me ho logo ke saath likhit rup se share karte h . Jo ki niyamit antral me update bhi kiya jata rahta h  taki pathako ko sahi aur update jankariyan milti rahe .


Blog ko internet use karnewale kisi bhi vyakti dwara aur kanhi bhi pada ja sakta h . Jiskaran   pure world me log apne jankariyan blog dwara sajha karte h . 



Blogging kya h 



Jaisa ki upar aapne jana blog kya h . Blog banane wale ko hum bloger kahte h jinke dwara apne blog me lagatar niyamit antral me post ( apni jankariyan likhna ) likhi jati h aur internet me publish ki jati h  . 


Bloggers dwara apne blogs me logo ke saath  jankariyan suggestion aur apna experience saajha karne ya logo tak pahuchane ke liye jo bhi karya kiya jata h use hum blogging kahte h . 



Ise aise bhi samjh sakte h bloggers jab apni blog me koi bhi jankari share karta h use hum blogging kahte h 









Bloger post me headings ka usr



Mobile se blog banane ke liye jaruri 





 Smartphone me aise kai feature hoti h jisse hum laptop ya computer ki tarah uska istemal kar sakte h . Hum jo kam computer aur laptop se kar sakte h kafi had tak wahi kaam ek mobile se bhi kar sakte h .


Mobile se blog banane ke liye aap ko ek smartphone ki jarurat hogi aur dusra internet connection chahiye .



Mobile se blog kaise banaye .




Aaj ke jyadatar smartphone me chrome hoti hi h agar na ho to apne mobile me Chrome browser install kar le . Kyunki bloger.com chrome me kafi accha support karti h .


Mobile me Chrome install hone ke baad browser me bloger ki site open kar le . Aapke samne ab bloger ki official home page khul jaayegi .


Create your blog  page ke next me click karte hi ab samne ke screen me aapse login ke liye kaha jayega . Apne Email id se aur password ke saath login kare .

Free me apna blog kaise banaye

Login karte hi ab aapke samne bloger ka dashboard khul jaayegi . Dashboard ke left side me new blog par click karte hi .


Ab hume samne window me blog ka title blog ki address blog ki theme aur kuch basics settings karke apni blog create kar leni h .

Bloger me khud ke page view ko count se kaise hataye

Blog ki basic settings kaise kare

Old blog post ko update kaise kare


Mobile se blogging kaise kare





Blog create kar lene ke baad ab usme blogging yani kuch post kuch article likhni hogi . Yani jis uddesya se aapne apni blog banai h ab use apne post dwara readers aur logo tak pahuchane ka kaam .


New post me click karke post editor ka page janha aap ko apna post likhna h khulegi . Ab aap sabse pahle post ka title likhe uske baad apna article keyword ka use karte huye likhna suru kare.


Post me paragraph aur image ka use karte huye apne post ki settings  karle . Jisme label parmalink search description publish date sahi se optimized karle .


Yaanha aapko kahna chahunga agar aap chahe to apne post ko likhne ke liye notepad ka use kar sakte h ya phir voice typing ka bhi use kar sakte h .


Bloger blog posts me direct likhne ki jagah pahle notepad me likhkar ya voice typing karke uske baad use article me paste karle . 




Mobile se blogging karne ke liye kuch apps



Mobile se blogging karne ke liye hume kuch apps ki jarurat padti h . Jisse hum playstore se install kar sakte h . Jiski madad se hume post likhne me kafi asani hoti h .


1 .  Blog me article likhne ke liye hume notepad madadgar hoti h . Article ko blog me likhne se pahle notepad par likh kar jaruri changes karne ke baad post me likha jata h .


2 . Agar aapko likhne me pareshani hoti h ya aap likhna nahi chahte h to aap iske liye voice typing ka bhi istemaal kar sakte h .


3 . Jaisa ki aap jante hi h ki blog post me hum image ka use karte h jo ki seo ke najariye se acchi mani jaati h saath hi readers ko bhi attract karti h . Aap pixellab jaise kuch apps download kar sakte h jisse aap apne se blog ke liye images bana sake .




Mobile se blogging ke fayde



Mobile aaj lagbhag har vyati use karta h . Mobile se blog banane aur blogging karna sikhne ke baad ab aap ko mobile se blogging ke fayde bataunga .


I  .  Mobile se blogging karna kafi asan hoti h .


ii .  Aap chahe kanhi bhi ho aap hamesha apne mobile ko apne saath hi rakhte ho yani aap kanhi se bhi apna article likh kar publish kar sakte ho .


III . Computer ya laptop ki apecha kanhi bhi lane le jane me asani .


iv . Hamesha mobile saath me hone se aap apne readers ke saath hamesha touch me rahte h .




To dosto aap logo ko  hamari post mobile 

se blog  kaise banaye aur mobile se blogging kaise kare jarur pasand aaye hogi agar article aap ko acchi lagi ho to apne dosto ke saath jarur share kare .   Dhanyabad