Domain authority kya h , DA badhane ke liye kya kare .




Aaj hum DA yani domain authority ke bare me janenge . Ye domain authority ya DA kya h  . Blogging me ise itna importance kyun diya jata h  Blogging me aapne jarur iske bare me suna hoga ,  chaliye aaj hum Vistar se iske bare me baat karenge . Jisse aap bhi janenge  Domain authority kya h ? DA badhane ke liye kya kare .

Domain authority yani DA  websites ya blog ke ranking me itna mahatvapurn kyun mana jata h . Kya aap jante h domain authority ya DA kya hota h ?  Domain authority ko kaise badhaya jata h . Domain authority ko check kaise karte h .

Aaj ke post me hum domain authority ke bare me baat karenge isliye aap is article ko aanth tak jarur padte rahe taki aapko DA ke bare me jaruri jankariyan mil sake .

Aapki jankari ke liye yanha bata dun domain authority ek website ya blog ke search engines me rank prapt karne ka score hota h . Jo ki kisi websites ya blog ke search engines me ranking ke mahatav ko batata h .

Robots.txt kya h bloger me


Domain authority ya DA kya h
Domain authority kya h 





Domain authority kya h ?




Domain authority ya DA MOZ company dwara banaya gaya ek matrix h . Jo blog ya websites ko ranking pradan karta h jo ki search engines ko batata h ki blog ya websites kis position  par rank kar raha h .


Ek websites ki domain authority jitni jyada hogi uske search engines me ranking bhi utni hi jyada hoti h .


Aam taur par naye blog ya websites ki DA kam hoti h yani 10 se 20 tak . Par jaise jaise websites purani hote jati h uski DA bhi badhte jati h .


Jitna adhik DA hoga blog ke ranking bhi unchi  hogi . Blog ki ranking high hogi iska sidha matlab h blog me organic traffic adhik aayegi . Adhik traffic matlab kamai bhi adhik hogi .


Domain name kya h

Blog ke DA ke bare kaise pata kare .



Blog ki basic settings kaise kare


Ek websites ka DA kabhi bhi constant nahi rahta h  ye kam ya adhik hota rehta h . Agar DA badta h to to blog ke liye ye accha sanket  h par DA ghatne par ye blog ke liye chinta ka visay ho jata h .


DA ki ranking kis adhar par hota h ye to sirf iske aaviskar karne wali company MOZ ko hi malum h . Jo kisi websites ko rank dene ke liye 40 prakar ke factors ka use karta h . Jaise blog kitna purana h , kitne backlink h dusre sites se ,kitne unche DA wali sites se link h .


Iske DA ko pata karne ke liye bahut sare tools h jisse hum kisi sites ke DA ko check kar sakte h . Moz open sites explore tools ek badhia DA checker h . Janha aap sirf apna domain name likh kar apne blog ka DA pata kar sakte h . 




Blog Domain Authority ko badane ke liye kya kare .



Blog ki DA rank badhane ke liye jin 40 factors ka use kiya jata h unme se kuch factors jinke karan hamare blog ki ranking search engines ke top me aati h .


Search engines ke top me rank karne ke karan traffic bhi adhik hone ke chances hoti h . In karano se apne DA ko improve kiya ja sakta h .


1 . Linkbuilding ya backlink banana


Domain Authority me linking ka bahut important role hota h . Blog me jitni jyada backlink dusre high level sites se mili hogi utna jyada DAKi scoring bhi badhti h 

External linking kya h kaise kare

Backlink banate samay hamesha dhyan rakhe . Backling hamesha high DA wali site se hi banaye 


Apne niche related sites se backlink banaye . Spam sites se backlink banane se bache hamesha quality backlink par dhyan de .


2 . Internal linking karna


Internal linking seo ka ek mahatvpurn part h . Internal linking yani ek hi blog ke posts ko aapas me link kiya jata h . 

Internal linking kya h seo ke liye

Taki ek posts se dusre post tak asani se Jaya ja sake . Isse visitors blog me adhik samay tak rehta h . Blog ke post apas me acche se jude hone par ye search engines me  blog ke ranking me acchi bhumika nibhata h .


Blog ke posts apas me achi tarah linked hone ke karan google ke spiders asani se sare post tak pahunch kar use crawel kar leta h .


Jo ki post ke ranking me madad karata h aur blog ki DA me bhi increase karta h .



3 . Post me comments karna


Apne niches related blog ke posts par comments karna . Ye tarika bhi apne blog par traffic pane me madadgar h .


Blog pe comments karne par us blog se dofollow link milti h . Jisse aapke blogs me bhi dusre blog ke readers ka aana suru ho jata h .


Kisi blog par acche comments aur questions se aapki popularity badti h .


Dhire dhire log aapke blog ko bhi pehchanne lagte h aur aap bhi famous ho jate h .  Iske saath hi aapke DA bhi increase hone lagti h .



4 . Acche content likhna


Jaisa ki aap jante hi honge content is king  . Is kahawat ke anusar research karke acchi jankari ke saath aachi tarah likhi gayee post . SERP me acchi ranking dila sakti h .


Isliye hamesha acchi aur quality content hi likhe jisse post google me jaldi rank kare aur saath hi DA me bhi improvement dekhne ko milegi .



5 . Websites ki speed

 

Sites ki loading speed ka accha hona users aur search engines  dono ke liye accha h . Agar kisi blog site ki speed acchi hogi to visitors us blog me visit karna pasand karte h .


Jitni jyada visitors honge search engines ke SERP me ranking bhi utni acchi hogi . Saath hi  DA bhi badhegi .




6 . Social media ka use for promotion


Sites ka promotion karne ke liye social media ka use jarur kare . Social media se hum referal traffic pa sakte h jo ki content ko google me rank karane me faydeman hoti h .


Google me content ke rank hone par aapki knowledge aur writing ko lakho readers pad paayenge aur aapki blog ki brand value bhi increase hogi . Jisse aapke DA me bhi badotari hogi .




7 . Apne blog ko update rakhna



Apne blog ko hamesha update rakhe samay par article publish kare . Saath hi samay samay par apne purane article ko bhi update karte rahe .  Apne blog readers ke liye update aur informative information unka viswas jeet sakte h .


Update information milne se aapke blog me readers ki sankhya me ijafa hi hoga . Jo blog DA ranking me madad karta h  .


Aaj hamane jana Domain authority kya h aur DA ko kaise badhaye . 


Ummeed karta hin aap logo ko meri ye article Domain Authority kya h ? DA badhane ke liye kya kare acchi lagi hogi .