Blog ke liye Disclaimer page kaise banaye ye kyun jaruri h 


Kya aap bhi blogging karte huye apne blog se earning karna chahte h. 

Agar aisa h to aap jante hi honge ki iske liye aapke blog ko google adsense se approval lena padta h .

Par kya aap ko pata h ? Google adsense ke approval ke liye blog me kuch pages ka hona anivarya h jinke bina adsense ka approval nahi mil sakta h. 

Un jaruri pages me se ek h Disclaimer page .


Aap me se kuch logo ko sayad Disclaimer page ke  bare me pata hoga par jinko Disclaimer page ke bare me malum nahi h unko batana chahunga ki apne blog se kamai karne ke liye Disclaimer page bahut jaruri h .


Aaj humlog mere is article blog ke liye Disclaimer page kaise banaye ye kyun jaruri h , Disclaimer ke bare me kuch aur jankari ekkathi 



Blog ke liye privacy policy kaise

Disclaimer page kya h
Disclaimer  page kya h 




Disclaimer page kya h ?


Disclaimer page ek aisa page hota h jo hume apne blog ya website me diye jane wale information , seva ka galat istemal karne walo ke kanuni dav pench se bachata h . 

Maan lijiye aapne ek article likha h paise kamane ke tarike .

Aagar koi vyakti aap ke article ko pad kar aur uske anusaar koi kaam karta h aur durbhagya se use us kaam me nukshan ho jata h . Tab wo is nukshan ke liye aapko jimmewar manta h. Nukshan ke bharpaee ke liye wo aapke upar kanuni karyavahi tak kar sakta h.

Ek blogger ke taur par ye bahut vikat sthiti hoti h . Par agar aapne apne blog me Disclaimer ka page lagaya h tab aap ko chinta karne ki koi baat nahi h .

Kyunki Disclaimer ke term me likha hota . Hum kisi ko article padne ke liye force nahi karte , article me di jane wali information sirf jankari ke liye h .

Blog me iske istemaal karne ki salah nahi di jati h agar koi iska istemal karta h ye uski jimmewari h .

Ab to aaplogo ko Disclaimer page kya h aur iske importance ke bare me pata chal gaya hoga .


Disclaimer page banana kyun jajruri h .


Blog me Disclaimer page sirf blog ke sundarta ya looks ke liye nahi hota h.  Balki kisi karanbas blog ke karan ya blog ke information ke karan kisi ko agar koi nukshan hota h .

 To blog ke owner hone ke karan aap iske jimmedar ho sakte h par ek Disclaimer page aap ko isse safe rakhta h . 

Agar kaha jaye isse hum apne blog ko suraksha pradan karte u to ye galat na hoga .  

  1. Blogging karte huye post likhne me kuch galtiyon se inkar nahi kiya ja sakta h . Galti kisi se bhi ho sakti h par un galtiyon ki wajah se future me kisi kanuni adchano se bachne ke liye Disclaimer madadgar hoti h.    
  2.   Blog ke regular readers to blog aur uske author ke bare me jante h par new visitors naye sites se thode asankit rahte h. Disclaimer page unki sankaon ko dur karta h.    
  3. Google adsense ke approval ke liye Disclaimer page anya teeno( About Us , Privacy Policy aur Contact Us)  pages bahut jaruri aur anivarya h .  
  4. Blog me ye page blog ki surakshit hone ka suchak hota h .
  5. Blog ke readers aur visitors ka biswas blog ke prati badta h


Disclaimer page me kya likhte h .


Blog websites ke agreement ke anusar kuch sarte likhi jati h .


Term and condition

Disclaimer me sabse pahle term and condition hoti h  janha likhte h visitor apni iccha se iss blog me aate h unhe iske liye force nahi kiya gaya h .


Privacy policy 

Yanha hame visitors ke infomation aur data ki gopniyata ki assurance deni hoti h. 



Copyright content 

Hamare blog me diye gaye information aapke khud ke h jiske copyright apke pas h .


Right for changes 

Is site ka adhikar aapke pas hone se aap ise sell , changes kar sakte h. 

For safety 

Blog me di gayee jankari me badlaw hone par iske jimmewar aap nahi honge. 

Sponsorship and advertisers

Blog me dikhaye ja rahe ad ya ad link se koi saman kharidne par uske defective nikalne par advertisers ki responsibiliy hogi .


Online Disclaimer page kaise banaye 


Kài sari websites h jo online Dislaimer  generator tool se page banane ki suvidha deti h 

Online Disclaimer page generator tool se hum kuch hi der me apne blog ke liye Disclaimer page bana sakte h. 

Prioritydigital.com ke site par jaye

Ab free utilities ko select Karna h .

Next page me Disclaimer Builder par click kare .

Next window khulte hi usme 

Site name 

Company Name

Country

email add

In field me details fillup karke make my Disclaimer par click kare . Aapka Disclaimer  ban kar taiyyar h . Ise copy karke rakhle.  


Blogger blog me Disclaimer page kaise add kare .


Sabse pahle bloger.Blogger.com open karke uske dashboard me jaye wanha page ke option me jaye .

Page option ke baad new page select kare  ab page editor ke title me Disclaimer likhe .

Page editor ke tool bar me HTML options select karke aap ne jo Disclaimer generate kiya tha use  yanha paste kar de . Ab ise publish kar dena h . Aapka Disclaimer aapke blog me add ho chuka h .


Aaj maine apne article Blog ke liye Disclaimer page kaise banaye,  kyun jaruri h se aap logo ko Disclaimer aur uske jarurat , saath me blog me add karne ke bare me batane ki koshish ki h . Ummeed karta hun aap logo ko article achi lagi hogi .